Category: General



And The Blasts Happened

Kaleem Hyderabadi | 5 Sep 2008, 9:58pm
Khush haali thi us shaher ki purjoosh fiza main.
Bikhri huwi her samth thi khusboo bhi hawa main.

Thi jumme (Friday) ki salaat ki takbeeren azan main.
Logaon ka ek hujoom tha masjid-e-haza main.

Madhoush theey momin sabhi dawat-e-khuda main.
Kham kiye siron ko ikhlas-o-duwa main.

Larzish nahin thi khadmaon mein, na unki ada main.
Kaisa ye mojezah tha mere rab ki nidaa main.

Phir achanak tabdeel huwe woh lemhen khiza main.
Ek bijli se chamki ho koi jaisey samaa main.

Bhakdadh much gayi phir her so-e-giraan main.
Chooti kisi ki topiyaan to kisi key amamein.

Yun jal gaye masoom kayi leher-e-shama main.
Baktey rahe qaideen janey kya kya bayan main.

Na tha aisa manzer kabhi zehen-o-guman main.
Ya rab kab hoga aman tere jahan main.

Qatil chupey phirey hain ab ahl-e-zaman main.
Ab josh hi kahan hai bacchon main, jawan main.

Kaleem to dhundhta hai kya ankhaon ki ayan main.
Jumbish kidher se layega murdaon ki zuban main.

Poet:
Kaleem Hyderabadi

 

Congratulations!

Kaleem Hyderabadi | 5 Sep 2008, 9:57pm
If you can read this post, it means that the registration process was successful and that you can start blogging

 
 1